koi image kisi baat ka hasin saya nae purane khayalon ka ek achhuta mel kisi ki yaad ka bhatka hua koi jugnu kisi ke nile se kaghaz pe chand adhure lafz baghawaton ka purana ghisa pita nara kisi kitab mein zinda magar chhupi ummid purani ghazlon ki ek rakh be-dili aisi khud apne aap se uljhan ajib be-zari gharaz ki mud ke sau rang aaine partaw magar ye kya hua ab kuchh bhi likh nahin sakta na jaane kab se ye be-mani khamushi be-muhit khud apne sae se main chhut gaya hun ya shayad kahin main lafzon ki duniya ko chhod aaya hun