mile to hum aaj bhi hain lekin na mere dil mein wo tishnagi thi ki tujh se mil kar kabhi na bichhdun na aaj tujh mein wo zindagi thi ki jism-o-jaan mein ubaal aae na khwab-zaron mein raushni thi na meri aankhen charagh ki lau na tujh mein hi khud-supurdagi thi na baat karne ki koi khwahish na chup hi mein khub-surati thi mujassamon ki tarah the donon na dosti thi na dushmani thi mujhe to kuchh yun laga hai jaise wo saaten bhi guzar gai hain ki jin ko hum la-zawal samjhe wo khwahishen bhi to mar gai hain jo tere mere lahu ki hiddat ko aakhirash barf kar gai hain mohabbaten shauq ki chatanon se ghatiyon mein utar gai hain wo qurbaten wo judaiyan sab ghubar ban kar bikhar gai hain agar ye sab kuchh nahin to batla wo chahaten ab kidhar gai hain