le jao darakhton ko le jao mere kis kaam ke ye darakht le jao main to mar raha hun mere sath jaane wale kuchh hi log to hain main ne baat ki in raston se ki jo raste nahin the phir main nadi mein dub gaya mujhe nahin malum tha ki mujhe is tarah aari se kat diya jaega ki darakhton mein bhi mera shumar nahin hoga main nind ke aakhiri hisse mein khada hun ek mazdur belche se meri taswir bana raha hai raat guzar rahi hai ki us ke guzarne se pahle bhi ek raat guzar chuki hai main bhala kis raat ka hisab dun mujhe marne walon mein mera lahu bhi shamil hoga ye mujhe malum nahin tha main mar raha hun ki mujhe marne wali zat meri ridh ki haddi se kalam kar chuki hai us ne mujhe batan tankne wali mamuli sui se chhed ke jaankani se guzar diya hai magar us se pahle mujh se ye bhi nahin puchha ki main kisi jahan mein zinda tha bhi ya nahin qadim kansi ke bartanon mere nam par bahae hue aansuon ka ek khazana to mahfuz hai aur is khazane hi par to main ne israr kiya kyunki main jaanta hun ki ye duniya kewal ek chinta ghar hai is mein hazaron sal se rahne wale ko bhi rahne ke liye ek pal bhi mayassar nahin kyunki ek ek pal ka dam chukana padta hai pahad ek zarre ke hathon bik jata hai main mar raha hun magar is se pahle main ne ek iltija ki hai ki mujhe ek ek pal ka dam chuka ke marne diya jae mere nam ke an-ginat nam darj hain thik hai mere wo tamam alfaz hi to akarat gae na jo mahz ek jhut ke nam likhe gae magar ab kuchh jaanne ke liye rah kya gaya hai ki agar mera sach itna bada tha tu use chhota karne ke liye syahi se bhari dawat qalam-dan se pare kyun ulat di gai main mar raha hun magar mujhe ek ek pal ka dam chuka ke marne diya jae aur ek darakht bhi bach gaya hai to le jao ise le jao