khuli hawa aur ghutan ke waqfe tawil tar the to phir bhi itne garan nahin the magar guzishta kai dinon se ye waqfe goya simat chuke hain abhi main ji bhar ke le na pati hun chand sansen hasin faza mein ki phir usi waqfa-e-ghutan ki saqil dastak samaaton ko figar karti payam lati hai mausam-e-habs aur ghutan ke main is tasalsul se thak chuki hun ai lam-yazal ai khuda-e-bartar ye darmiyan ki aziyyaton ko mita ke kar de mere muqaddar mein mausam-e-gul hameshgi ka wagarna phir daimi habs bakht kar de