niyaz-mandon ki bhid hai ek qatar-andar-qatar sare khade hue hain main fasle par hun sochta hun ki dast-e-khali ke is safar mein kamana kya aur ganwana kya hai main is maqam-e-ajib yani 'kamana kya aur ganwana kya hai' pa jab pahunchta hun dekhta kya hun main usi daere ke upar khada hua hun jahan main kal tha jo farq aaya to sirf itna tab us taraf tha ab is taraf hun abhi main ye soch hi raha tha 'to zindagi kya safar hai bas ek taraf taraf ka' ki aa gaya mod ishaara tha mere bartaraf ka