aur phir yun hua din ka ugla pahar sabz zaitun ki chhanw mein kat kar ibn-e-adam utha apne ek hath mein sanp aur dusre hath mein ek mamola liye arsh ki samt jate hue mud ke wadi ke logon se us ne kaha mujh pe iman lao khuda mar chuka hai ye aflak o aafaq ka bar ab mere shanon pe hai mahr o mah o kawakib sabhi mere aayat hain aur wadi ke logon mein kuchh log dana the iman le aae kuchh kashmakash mein rahe aur kitne hi aise bhi the jo khud apni sadaon mein gum ibn-e-adam ki aawaz se dur the aur phir yun hua chaar aafaq se ek ghana abr utha aur wadi pe ek saeban ki tarah tan gaya aur zamin jaise tapne lagi aur wadi ke sab log ghabra gae aisi aawaz mein jaise sakraat mein sans ki fasl ko katta ho koi ibn-e-adam ko sab ne pukara ki ye maut ke kale dhakne ki manind aankhon pe rakkha hua abr kaisa hai? tannur par ek tanbe ki thaali ki manind tapti zamin kis liye! dekh hum log aise larazte hain sinon mein iman jaise larazte hon ye kaisa aaseb hai!! in ki aawaz laut aai phir kanpte tilmilate dhadakte dilon se ye sab ne suna abr se zahr barsega tapti zamin aur dahkegi wadi ka har ghuncha mar jaega khak ke rahm mein sans leta hua aafrinash ka har bij mar jaega ye sadaen ufuq-ta-ufuq gunj uthin aur sab ne sunin un mein dana bhi the jin ki danaiyan tan-barhana kunwari kanizon ki manind lab-basta thin aur wo log bhi in mein maujud the kashmakash jin ke dil ki gunahgar jismon ke masum bachchon ki manind hairan thi aur kitne hi wo bhi the masumiyat jin ki faulad-paikar ghulamon ki manind maqtul thi aur phir yun hua sab ki nazren uthin jis taraf apne ek hath mein arz-e-mahkum aur dusre hath mein jauhari bam liye ibn-e-adam khada tha kisi aatishin ped ki chhanw mein niche wadi mein ek shor tha wo hamara khuda hum ko lautao taskin ki koi surat to ho koi chhat koi saya koi saeban kuchh to ho jis ke zulmat mein chhup ke hum zindagi kat len aur ye abr aankhon se ojhal rahe wo hamara khuda hum ko lautao wadi ka ye shor badhta raha shor karti hui bhid mein wo bhi the jin ke iman mazbut the aur phir yun hua ibn-e-adam ne dekha ki wadi mein sadiyon ka budha khuda phir se maujud tha