hijr-o-visal ke beach bhi ek mausam hota hai jaise tumhaari gum-sum aankhen jaise meri adhuri nazmen jaise chhachh ka khali pyala jaise chaak pe aadha bartan jaise kisi sayyare par chhe mah ki raat jaise kisi takhliq ke lamhe karb ki lazzat jaise khwab mein wasl ka nashsha jaise lahu mein wahshi giton ki sarshaari jaise banjar kor zamin ki pyasi kokh mein numu ki khwahish jaise garm garm hatheli beach kisi ke nam ki mehndi jaise kori narm dahakti poron ki shital aankhon mein lams ke pahle khwab ki hairat kuchh na samajhne aur samjhane ke mausam ki kachchi baaten saundhe jazbe hijr-o-visal ke beach bhi ek mausam hota hai jaise ladki ke sine mein pahli raat ka mitha khauf aur chutki leta maddham dhadka jaise man ke pistanon se hont hata kar hansne wale bachche ki aasuda aankhen jaise jang ke baad lute hue ganw mein tanha budha bail ki jodi rahat ka san san bahta pani rondi faslen sarkandon ke beach phate aanchal ki dhajji gahra aasebi sannata jaise kisi bansi ki dhun par pir kabir ka sada doha jaise bhari chaupal ki chup ke beach kahani-kar ke lambe sans ka waqfa hijr-o-visal ke beach bhi ek mausam hota hai