ahd-e-mazi

yaad hai aaghaz-e-ulfat ka zamana yaad hai
dal kar banhon mein banhen muskurana yaad hai

kham-ba-kham zulfon ka wo chehre pe mere lotna
bhini bhini nikhaton mein dub jaana yaad hai

surkhiyon se wo jhalak uthna rukh-e-zau-rez se
lete lete nam mera jhenp jaana yaad hai

aage badh badh kar palatna aur phir rukna mera
is tarah dil ka machalna tilmilana yaad hai

wo meri betabi-e-dil se teri be-tabiyan
wo mere shikwon pe tera sar jhukana yaad hai

wo meri pazhmurdani se tera ho jaana udas
wo mujhe bholi adaon se hansana yaad hai

gar kabhi khalwat mein chheda qissa-e-sham-e-firaq
muskurana muskura kar tal jaana yaad hai

be-jhijak milte the mujh se pas aate the mere
wo ghadi wo waqt wo dilkash zamana yaad hai

soch kar anjam-e-ulfat kuchh jhijakna khud-bakhud
dam-ba-dam ghabra ke mujh ko aazmana yaad hai

wo mera jazbaat se ghabra ke tujh se ruthna
aabdida ho ke wo tera manana yaad hai

yaad jis ki khun ke aansu rulaegi 'habib'
wo hikayat yaad hai aur wo fasana yaad hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close