allama iqbaal

baaton mein thi dalil hawala sukhan mein tha
tu tha to guftugu ka maza anjuman mein tha

quran ki faza mein pala tha tera shuur
islam ka mizaj tere bankpan mein tha

dil-dada-e-ulum-e-farangi tha dil tera
lekin khayal khitta-e-arz-e-watan mein tha

jahl-e-khizan ka daur gulon se tha dur dur
jab tak tera wajud faza-e-chaman mein tha

likhi wo dastan-e-gham-e-dajla-o-furaat
chakkha wo zaiqa bhi jo gang-o-jaman mein tha

sara simat ke aa gaya tere kalam mein
jitna bhi husn lala-o-sarw-o-saman mein tha

ab is se badh ke bas mein tere tha bhi kuchh nahin
millat ko de diya wo lahu jo badan mein tha

rah-e-amal dikhata raha qaum ko magar
tu mutmain tha dil tera ranj-o-mehan mein tha

har dam madina-o-najaf-o-karbala ki fikr
tera kahan jawab mohabbat ke fan mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close