khiraman khiraman chali aa rahi hai nigahon pe ek husn se chha rahi hai har ek gam par nur bikhra rahi hai ufuq par wo parcham ko lahra rahi hai ahinsa ki pahli sunahri kiran mili kimiya-gar ko aakhir wo buti ki jis se alaeq ki zanjir tuti shab-e-tar mein jaise mahtab chhuti tajalli ke parde se phuti wo phuti ahinsa ki pahli sunahri kiran naya rup hasti ne paida kiya hai har ek dil mein ek walwala bhar raha hai musibat ka ehsas himmat-faza hai ki arbab-e-binish ki ab rahnuma hai ahinsa ki pahli sunahri kiran zamin-o-zaman ham-nawa ho rahe hain ki dil wale tukhm-e-wafa bo rahe hain wahi pa rahe hain jo kuchh kho rahe hain jagaegi un ko bhi jo so rahe hain ahinsa ki pahli sunahri kiran