main mar chuka hun aur mujhe pata bhi nahin ab kya karoge tum nahlaoge mujhe aur puchhoge bhi nahin main nahana chahta hun ya nahin ye bhi nahin dekhoge pani garm hai ya nahin bhul jaoge ki achchha nahin lagta mujhe thanda pani nahane ke liye na pine ke liye phir libas tabdil karoge mera aur ye bhi nahin puchhoge kya pahanna chahta hun kaun sa rang patlun qamiz ya kuchh aur mujh se puchhe baghair tum wo sab kuchh karoge jo main ne apne sath kabhi nahin hone diya ek do bar nahin saikadon bar main ne khud ko intihai be-bas mahsus kiya hai lanat ho mujh par maut hai bebasi ki intiha ye baat mujh par kab khuli hai mere jism se jald-az-jald jaan chhuda ke tum lautoge ya shayad wahin se chale jaoge shayad kuchh der baaten karoge mere bare mein kam karobar ke bare mein kisi meeting ke bare mein ya sports ke bare mein ya kisi adakara ke nae scandal ke bare mein shayad kuchh khaoge ya shayad kuchh piyoge aur ek ek kar ke rukhsat ho jaoge darwaze par ruke baghair ye dekhe baghair ki main tumhein rukhsat karne aa raha hun shukriya ada karna chahta hun main tumhaara tamam masrufiyat ke bawajud itna waqt nikalne par