mujhe wadiat hui hai jab tak tumhaari aankhen maqam-e-binai tak na pahunchin safed kaghaz ki raushni ko siyah alfaz se musalsal chhupae rakhkhun kaha gaya hai ye qaul bhi dun jab aankhen khira na hongi (yani maqam-e-binai par pahunch jaengi) to kaghaz siyah karna main chhod dunga nafi-e-mauud hain ye alfaz asal isbaat chashm-e-bina safed kaghaz mein padh rahi hain ki harf-e-mauud bhi yahi hai main sath-e-kaghaz se apne alfaz utha raha hun ahl-e-dil ko bula raha hun