mujhe malum hai jaanan mere marne pe tum aansu bahaoge meri har baat tum ko yaad aaegi ba-mushkil bhul paoge zara socho ye narmi hamdami mein mujh ko mil jae to achchha ho mujhe malum hai meri ghalatiyon ko sarasar bhul jaoge gile shikwe kabhi munh par na laoge zara socho tumhaari be-niyazi gar meri maujudgi mein mujh ko mil jae to achchha ho mujhe malum hai ye bhi ki meri qabr par tum phul rakkhoge mohabbat se meri khatir wahin kuchh der rah kar gham bhulaoge zara socho ye chahat hath hi mein mujh ko mil jae to achchha ho mujhe aisa bhi lagta hai meri aawaz khamoshi mein sun kar chaunk jaoge meri yaadon ke andhere mein apna dil jalaoge zara socho yaqin is raushni mein mujh ko mil jae to achchha ho mujhe ehsas hota hai ki mera ranj kuchh arsa tumhein maghmum rakkhega tumhein zehni sukun se der tak mahrum rakkhega magar jaanan ye gham aasudgi mein mujh ko mil jae to achchha ho jo mar kar tum se hasil ho wo sab is zindagi mein mujh ko mil jae to achchha ho zara socho