bustan-e-wafa dahr mein aabaad hai hum se din-raat zamane ko khuda yaad hai hum se tarikh-e-junun khun se ki hum ne nigarish aafaq hain har masnad-e-irshad hai hum se raushan kiya zulmat mein qindil-e-hunar ko sahra mein chaman nur ka aabaad hai hum se hum jannat-e-parwez ke hain husn-e-tafakhur shirin ki talab taisha-e-farhad hai hum se sanche mein gham-o-dard ke insan ko dhaala shahkar-e-jahan-saz bhi ijad hai hum se khwabida shabistan mein azan hum ne pukari iman-sara dahr ka aabaad hai hum se hum shahr-e-tafalsuf mein hain tadris ki tanwir shamshir ba-kaf bazu-e-faulad hai hum se tamir kiya tesha-e-fan se chaman-e-dahr tanqid-e-haq-asar bhi ijad hai hum se meamar-e-yaqin-saz hain darwesh ke aadab baqi abhi talim-e-khuda-dad hai hum se ikhlas ke moti se bhara daman-e-aghyar iqlim-e-jahan mein adl-o-rad hai hum se aiwan-e-zar-o-sim mein mahshar hua barpa khaif hama-tan lashkar-e-shaddad hai hum se mahaul-e-zamana hai alamnak-o-jigar-doz qaem wale kuchh rahmat-e-jawwad hai hum se sar-bazi-e-paiham se hai gulzar murattab sar-chashma-e-anwar ki buniyaad hai hum se hum ahsan-e-taqwim ke hain bolti tafsir rangin-e-dil-e-geti ki rudad hai hum se bakhshi hai ghulamon ko bhi ahrar ki jurat duniya ka giraftar bhi aazad hai hum se hum mit gae duniya se to duniya nahin hogi har zarra hai raushan to jahan shad hai hum se ilhad ki zulmat se zamane ko nikala aslaf ki mahfil abhi aabaad hai hum se sar-masti-e-kirdar se rakhshanda hai aafaq mahfuz abhi makhzan-e-ajdad hai hum se tahzib-o-tamaddun ka sabaq hum ne padhaya har husn-e-jahan-saz ki ijad hai hum se 'bebak' kahan gosh-bar-awaz zamana kuchh millat-e-masum ki fariyaad hai hum se