tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chhed na suna jaega hum se ye fasana hargiz dastan gul ki khizan mein na suna ai bulbul hanste hanste hamein zalim na rulana hargiz dhundhta hai dil-e-shorida bahane mutrib dard-angez ghazal koi na gana hargiz sohbaten agli musawwir hamein yaad aaengi koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz maujzan dil mein hain yan khun ke dariya ai chashm dekhna abr se aankhen na churana hargiz le ke dagh aaega sine pe bahut ai sayyah dekh is shahr ke khandaron mein na jaana hargiz chappe chappe pe hain yan gauhar-e-yakta tah-e-khak dafn hoga na kahin itna khazana hargiz mit gae tere mitane ke nishan bhi ab to ai falak is se ziyaada na mitana hargiz hum ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charkh hum pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz kabhi ai ilm-o-hunar ghar tha tumhaara dilli hum ko bhule ho to ghar bhul na jaana hargiz shairi mar chuki ab zinda na hogi hargiz yaad kar kar ke use ji na kudhana hargiz 'ghaalib'-o-'shaifta'-o-'nayyar'-o-'aruzda'-o-'zauq' ab dikhaega ye shaklen na zamana hargiz 'momin'-o-'alwi'-o-sahbai'-o-'mamnun' ke baad sher ka nam na lega koi dana hargiz kar diya mar ke yaganon ne yagana hum ko warna yan koi na tha hum mein yagana hargiz 'dagh'-o-'majruh' ko sun lo ki phir is gulshan mein na sunega koi bulbul ka tarana hargiz raat aakhir hui aur bazm hui zer-o-zabar ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz bazm-e-matam to nahin bazm-e-sukhan hai 'haali' yan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz