asa-e-musa andheri raaton ki ek tajsim munjamid jis mein haal ek nuqta-e-sukuni na koi harkat na koi raftar jab aasmanon se aag barsi to barf pighli dhuan sa nikla asa mein harkat hui to mahbus nag nikla wo ek sayyal lamha jo munjamid pada tha badha jhapat kar khizan-rasida shajar ki sab khushk tahniyon ko nigal gaya