meri nazm ko dur se dekho dur se mahsus karo us se baat mat karo us ko chhune ki hawas ko shamil kar lo apne ek khwab mein ziyaada mithas aur kadwahat ka zaiqa ek sa hota hai tum is nazm ko apni kamar par khushk ghada tasawwur karo tumhein dur, sahra se pani lene jaana hai wahan tumhein do aankhen milengi un mein ye nazm hogi tum is nazm ki aankhon se bahte hue aansuon ko, apne badan mein shamil na karna udas ho jaogi aur ye nazm tumhein udas hote hue nahin dekh sakti