wabasta tere nam se shair ka qalam hai ai pak watan tujh se mere fan ka bharam hai tu jannat-e-afkar hai pindar-e-iram hai tere liye hazir hai shahidon ka hunar bhi tu ghaziyon ke jauhar-e-yakta ka asar bhi han markaz-e-isar hai ikhlas ka ghar bhi phir kis ki nazar teri jawani ko lagi hai bharpur bahaaron ki nishani ko lagi hai ye aag to bahte hue pani ko lagi hai iqbaal ki aankhon mein sulagte hue aansu dukh qaid-e-azam ko mera kat gaya bazu tauhid ke farzand hain bikhre hue har su tahrik-e-amal hai na kahin fikr-e-baqa hai mazi ki riwayat se ab kaam hi kya hai bhai bhi har-ik baat mein bhai se juda hai uttho ki adu shahr ki diwar tak aaya ek shor sa ab kucha-o-bazar tak aaya saffak iradon ka hunar dar tak aaya jo is ki taraf hath uthe tod ke rakh do jo tir chale us ki ani mod ke rakh do dushman ki agar aankh uthe phod ke rakh do mana ki jawani teri kanton mein tuli hai chunta hun tera dard ki ab aankh khuli hai ai arz-e-watan tu mere ashkon se dhuli hai main teri mohabbat ka asar aam karunga ye zinda-e-jawed hunar aam karunga phir nur-e-nazar rang-e-sahar aam karunga