zarurat-e-iqbaal

kuchh aise rup mein aaya hai fitna-e-hazir
tamiz-e-dostan o dushmanan bhi mushkil hai

hai phir zarurat-e-iqbaal tarbiyat ke liye
wagarna qaum par ye imtihan bhi mushkil hai

hujum-e-kam-nazran se hain raste masdud
dalil-e-rah kahan ab to karwan bhi nahin

tadap ke gum hui bang-e-dara fazaon mein
ki zindagi ka yahan dur tak nishan bhi nahin

ye wo zamin to nahin tu ne jis ko chaha tha
yahan to phut hai nafrat hai khud-parasti hai

ghanim-e-shahar ki diwar tak chala aaya
idhar ye haal ki aapas ki chira-dasti hai

nigah buland sukhan dil-nawaz jaan pur-soz
hum aise rah-numa ke liye taraste rahe

magar ye apna muqaddar ki rahzanon ke sabab
qadam qadam pe uthae fareb-e-zakhm sahe

awam ko rahi fikr-e-maash har lamha
mudabbiron ne bhi chaha yahi ghanimat hai

shuur jag utha to ye hum pe fash hua
hamara daur hai apni bhi qadr-o-qimat hai

shuur jag utha hai yahi ghanimat hai
khudi ke zor se khud ikhtiyar bhi honge

hamara daur ab aaya is e'timad ki khair
hamare nam payam-e-bahaar bhi honge

hum apne chand sitare ki aabru ke amin
lahu se millat-e-baiza ko raushni denge

salam shair-e-mashriq ke shahkar-e-jamil
hum apne azm-o-amal ka subut bhi denge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close