daman-e-lala-zar mein aalam-e-pur-bahaar dekh kalla-e-kohsar par jalwa-e-zar-nigar dekh aab-e-rawan ki baat kya khak pe hai nikhaar dekh ai dil-e-be-qarar dekh dekh nashat bagh mein jalwa-e-subh ka saman kaif o nashat hai zamin nur o surur aasman aah ye manzar-e-jamil hae ye jaan-faza saman auj-e-falak se hai rawan nur ka aabshaar dekh ai dil-e-be-qarar dekh dhaar ke kashtiyon ka rup dull pe rawan hai zindagi chaar taraf fazaon mein itr-fashan hai zindagi baad-e-dazan hai zindagi shola-ba-jaan hai zindagi charkh-e-takhaiyyulat par kahkashan hai zindagi chehra-ba-chehra ru-ba-ru husn ka ye nikhaar dekh ai dil-e-be-qarar dekh khwah wolar ki jhil hai khwah faza-e-pahl-gam ek se badh ke ek hai jo bhi nazar mein hai maqam dekh ki un fazaon mein phul sharab ke hain jam ghas hai farsh-e-makhmalin zarre hain aasman-maqam aur nahin tujhe nasib ek bhi lamhe ka qayam mauj-e-nashim-e-subh se raaz ye aashkar dekh ai dil-e-be-qarar dekh