is daur mein tu kyun hai pareshan-o-hirasan kya baat hai kyun hai mutazalzal tera iman danish-kada-e-dahr ki ai sham-e-farozan ai matla-e-tahzib ke khurshid-e-darakhshan hairat hai ghataon mein tera nur ho tarsan bhaarat ke musalman tu dard-e-mohabbat ka talabgar azal se tu mehr-o-murawwat ka parastar azal se tu mahram-e-har-lazzat-e-asrar azal se wirsa tera ranai-e-afkar azal se ranai-e-afkar ko kar phir se ghazal-khwan bhaarat ke musalman hargiz na bhala 'mir' ka 'ghaalib' ka tarana ban jae kahin teri haqiqat na fasana qazzaq-e-fana ko to hai darkar bahana taraj na ho 'qasim-o-'sayyad' ka khazana ai 'qasim'-o-'sayyad' ke khazane ke nigahban bhaarat ke musalman 'hafiz' ke tarannum ko basa qalb-o-nazar mein 'rumi' ke tafakkur ko saja qalb-o-nazar mein 'sadi' ke takallum ko bitha qalb-o-nazar mein de naghma-e-'khayyam' ko ja qalb-o-nazar mein ye lahn ho phir hind ki duniya mein ho afshan bhaarat ke musalman tufan mein tu dhundh raha hai jo kinara amwaj ka kar dida-e-baatin se nazara mumkin hai ki har mauj bane tera sahaara mumkin hai ki har mauj nazar ko ho gawara mumkin hai ki sahil ho pas-e-parda-e-tufan bhaarat ke musalman zahir ki mohabbat se murawwat se guzar ja baatin ki adawat se kudurat se guzar ja be-kar dil-afgar qayaadat se guzar ja is daur ki bosida siyasat se guzar ja aur azm se phir tham zara daman-e-iman bhaarat ke musalman islam ki talim se begana hua tu na-mahram-e-har-jurat-e-rindana hua tu aabaadi-e-har-bazm tha virana hua tu tu ek haqiqat tha ab afsana hua tu mumkin ho to phir dhundh ganwae hue saman bhaarat ke musalman ajmer ki dargah-e-mualla teri jagir mahbub-e-ilahi ki zamin par teri tanwir zarraat mein kaliyar ke farozan teri taswir hansi ki fazaon mein tere kaif ki tasir sarhind ki mitti se tere dam se farozan bhaarat ke musalman har zarra-e-dehli hai tere zau se munawwar punjab ki masti asar-e-jazb-e-qalandar gangoh ki taqdis se quddus sarasar patne ki zamin nikhat-e-khwaja se moattar madras ki mitti mein nihan taj-e-shahidan bhaarat ke musalman 'bastami'-o-'basari'-o-'muarra'-o-'ghazali' jis ilm ki jis faqr ki duniya ke the wali hairat hai tu ab hai usi duniya mein sawali hai gosha-e-pasti mein teri himmat-e-ali afsos-sad-afsos teri tangi-e-daman bhaarat ke musalman mazhab jise kahte hain wo kuchh aur hai pyare nafrat se pare is ka har ek taur hai pyare mazhab mein tassub to bada jaur hai pyare aql-o-khirad-o-ilm ka ye daur hai pyare is daur mein mazhab ki sadaqat ho numayan bhaarat ke musalman islam to mehr aur mohabbat ka bayan hai ikhlas ki rudad-e-murawwat ka bayan hai har shoaba-e-hasti mein sadaqat ka bayan hai ek zinda-o-painda haqiqat ka bayan hai kyun dil mein tere ho na haqiqat ye farozan bhaarat ke musalman islam ki talim faramosh hui kyun insan ki tazim faramosh hui kyun afrad ki tanzim faramosh hui kyun khallas ki aqlim faramosh hui kyun hairat mein hun main dekh ke ye aalam-e-nisyan bhaarat ke musalman mahaul ki ho taza hawa tujh ko gawara darkar hai tahzib ko phir tera sahaara kar aaj nae rang se duniya ka nazara chamkega phir ek bar tere bakht ka tara ho jaegi tariki-e-mahaul gurezan bhaarat ke musalman