is duniya mein chashm-o-zaban ke nutq-o-bayan ke ya dil-o-jaan ke kitne rishte tut gae hain ai dil aakhir kis karan ranjida hona kis ke liye nam-dida hona pagal ye to sachchai hai sachchai par rona kaisa palak dor mein hire lal pirona kaisa dard ka tufan aankh nagar mein phail gaya to kya dukh hai aur kaisa gham hai sach ka har irfan aham hai ai dil mere pagal jogi mutthi-bhar ek bar to ji le jiwan-wish do ghunt to pi le man-chunari kanton se si le ai dil mere pagal jogi mat ban rogi aakhiri subh kabhi to hogi