man tere aanchal ke sare phul chune main ne man tere kangan ke sare git sune main ne man apni palkon par tere khwab bune main ne bhigi bhigi purwai ya narm narm resham si dulai ya mathe par jagmag bunden malmal odhne wali ghadiyan man har rut mein teri sanson ki wo madhur mahkar meri rag-rag mein utri man teri wo bulbul si chahkar meri rag-rag mein utri nile-pile shoalon par pakti ek handi garm tawe par dali hui missi ki roti mitti ki kulhiya mein hare dhaniye ki chatni asli ghi mein baghrii mash ki dal ki khushbu bhare hue aalu ke parathe mirchon wale dahi-pakaude bawarchi-khane mein saji bartan ki qataren rassi par phailae hue kuchh ujle kapde man tere hathon ke sare hunar mere hathon mein utre tera saliqa tera sughad-pan teri wo phulon si hansi aur mamta ka madh-mata saya man main ne to jab se hosh sanbhaala tujhe khud apne andar paya tujhe hi apne andar le kar aankhon mein kuchh khwab sajae ek din main us anjaani dahliz pe utri aangan mein phir jhanjhar wala panw dhara nath pahni darpan dekha aur khush ho ho kar ye socha main to tujhe apne andar le kar aai hun lekin ye malum nahin tha main ne is aangan mein abhi jis ko dekha tha main ne is kamre mein abhi jis ko paya tha tu wo nahin thi tere siwa man sath mere koi aur aaya tha han man wo to babul jaisa ek saya tha jis ke ghar aate hi aksar tu sochon mein kho jati thi kuchh gum-sum si ho jati thi ya bistar mein so jati thi man teri wo soch to ab mera hissa hai hum donon ka ek hi jaisa to qissa hai