itni guzri hai giran chizon ki arzani mujhe ho gaya hai taza sauda-e-ghazal-khwani mujhe dudh mein bilkul nazar aata nahin pani mujhe dil ne kar rakkha hai mahw-e-sad-pareshani mujhe ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun kaam dhanda kuchh nahin dil kis tarah bahlaun main kyun na leader ban ke sari qaum ko bahkaun main jab nahin dhanda to chanda hi karun aur khaun main screening ki kameti ke na hath aa jaun main ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun kyun na editor banun akhbar-e-gauhar-bar ka aur qalam ko rup dun chalti hui talwar ka hath mein shamla ho sab ashraf ki dastar ka marshal-law mein magar pahla hai tukda mar ka ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun sochta hun phir ki haj kar aaun smuggler banun mal-e-din o mal-e-duniya ka bada dealer banun mulk ke andar banun ya mulk ke bahar banun al-gharaz jo kuchh banun main fauj se bach kar banun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun kya khabar thi qimaten yun hongi sasti ek din rang laegi hamari faqa-masti ek din chor-bazari ki mit jaegi hasti ek din hogi chewrolet pe bhi to-let ki takhti ek din ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun bahr ke sine se sona tak ugalwaya gaya gandum-e-khalwat-nashin bazar mein laya gaya aur zakhira-baz se chakki mein piswaya gaya nafa-khoron ka diwala tak nikalwaya gaya ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun hae kashkol-e-gadai le ke ab jaega kaun lal gandum la ke hum kalon ko khilwaega kaun jis ko amrici suar khate the wo khaega kaun sath mein gandum ke mister ghun ko piswaega kaun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ghair-mulki mal ko roti hain ab tak bibayan aur har import ke licence ko un ke miyan ghair bankon mein jo daulat hai wo aaegi yahan yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ya main sab kuchh chhod dun aur chor-bazari karun zindagi ki film mein aisi adakari karun donon hathon se kama kar uzr-e-nadari karun jab hukumat tex mange aah aur zari karun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
This is a great hajj mubarak shayari. True lovers of student leader shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore comedy shayari. Please share if you liked this!!!