kisi ke dast-e-inayat ne kunj-e-zindan mein kiya hai aaj ajab dil-nawaz band-o-bast mahak rahi hai faza zulf-e-yar ki surat hawa hai garmi-e-khushbu se is tarah sarmast abhi abhi koi guzra hai gul-badan goya kahin qarib se, gesu-ba-dosh, ghuncha-ba-dast liye hai bu-e-rifaqat agar hawa-e-chaman to lakh pahre bithaen qafas pe zulm-parast hamesha sabz rahegi wo shakh-e-mehr-o-wafa ki jis ke sath bandhi hai dilon ki fath o shikast ye sher-e-hafiz-e-shiraaz, ai saba! kahna mile jo tujh se kahin wo habib-e-ambar-dast khalal-pazir buad har bina ki mai-bini ba-juz bina-e-mohabbat ki khali az-khalal-ast