ai ham-safaro kyun na yahin shahr basa len apne hi usul apni hi aqdar bana len wo log jinhon ne mere honton ko siya hai sozan se meri soch ka kanta bhi nikalen is bazm se utthega na shoala koi hargiz yaro chalo qindil se qindil jala len har shahr mein hain fasl-e-junun aane ke charche shorida-saro aao gareban sila len yun zehn pe hai khauf ke sayon ka tasallut hum aai hui baat ko honton mein daba len kahne ko to bazar mein ham-jins garan hain amalan hamin kaudi pe kharidar utha len bojh apna bhi hum se to uthaya nahin jata aur aap musir aap ka bhi bojh utha len shayad koi chingari sulagti hui mil jae aao to zara rakh ka ye dher khangalen