kala had se bhi kala tha utna kala jitni teri soch utna kala jitni tere dil ki kalak kaun tha kala kala kala sochta jata khurach khurach kar nochta jata apna hona khojta jata jumlon ki badbu ke andar apni khushbu sunghta jata apni cigarette phunkta jata kale ki cigarette bhi kali kale ka gurda bhi kala kale ki kuppi bhi kali kale ki chuski bhi kali kale ka har kash bhi kala har har kash se lal bhabhuka kale ki aankhen bhi kali aankhon se girne wale sab aansu kale aur kali aankhon mein dikhne wali mushkil ki diwar bhi kali kale ki to jit bhi kali haar bhi kali kale ke sab balb bhi kale kale ki sab wiring kali wiring wo jo andar andar sulag sulag kar kale ki sari sochon ko aur khwabon ko gala chuki thi jala chuki thi jab wo chalta to lagta wo lahraata hai chalte chalte bal khata hai gir jata hai kala kya tha kalang ka tika zamin ka dhabba kala jis ki aag mein jal kar rakh hua tha kale ke andar ki aag thi ya thi wo bahar ki aag aag bhi kali dhuan bhi kala rakh bhi kali aag se uthne wala ek ek shoala kala kale ki bebasi bhi kali kale ki khujli bhi kali kale ke sab phode-phunsi chhaale kale kale ko sab kala kahne wale kale ek din kali sadak kinare bangali ke pan ke cabin ki jali ko thame kala ghur raha tha aate jate rang-birange kirdaron ko rickshaw motor cycle aur caron ko ek lambi si kali gadi dhuan udati chikhti aur chillati guzri gahre kale baalon wali gori bachchi ek gali se bhagti nikli kala bhaga aur gori bachchi ko pure zor se dhakka de kar kali gadi ke dhakke ko khud par jhela kala jate jate sab se kaisa khela gori bachchi bach gai lekin kala apni jaan de baitha pile lal gulabi chehre kale ki jaanib jab lapke sab ne dekha kale ki aankhon mein chikh raha tha ek sawal kale ke zakhmon se bahne wala khun tha lal