umron ki masafat se thak-haar gae aakhir sab ahd aziyyat ke bekar gae aakhir aghyar ki banhon mein dildar gae aakhir ro kar teri qismat ko gham-khwar gae aakhir yun zindagi guzregi ta chand wafa-kesha wo wadi-e-ulfat thi ya koh-e-alam jo tha sab madd-e-muqabil the khusraw tha ki jam jo tha har rah mein tapka hai khunaba baham jo tha raston mein lutaya hai wo besh ki kam jo tha nai ranj-e-shikast-e-dil nai jaan ka andesha kuchh ahl-e-riya bhi to hamrah hamare the rahraw the ki rahzan the jo rup bhi dhaare the kuchh sahl-talab bhi the wo bhi hamein pyare the apne the ki begane hum khush the ki sare the sau zakhm the nas nas mein ghayal the rag-o-resha jo jism ka indhan tha gulnar kiya hum ne wo zahr ki amrit tha ji bhar ke piya hum ne sau zakhm ubhar aae jab dil ko siya hum ne kya kya na mohabbat ki kya kya na jiya hum ne lo kuch kiya ghar se lo jog liya hum ne jo kuchh tha diya hum ne aur dil se kaha hum ne rukna nahin darwesha yun hai ki safar apna tha khwab na afsana aankhon mein abhi tak hai farda ka pari-khana sad-shukr salamat hai pindar-e-faqirana is shahr-e-khamoshi mein phir nara-e-mastana ai himmat-e-mardana sad-khara-o-yak-tesha ai ishq-e-junun-pesha ai ishq-e-junun-pesha