ai ishq kahin le chal is pap ki basti se nafrat-gah-e-alam se lanat-gah-e-hasti se in nafs-paraston se is nafs-parasti se dur aur kahin le chal! ai ishq kahin le chal! hum prem pujari hain to prem kanhiyya hai to prem kanhiyya hai ye prem ki nayya hai ye prem ki nayya hai tu is ka khewayya hai kuchh fikr nahin le chal! ai ishq kahin le chal! be-rahm zamane ko ab chhod rahe hain hum bedard azizon se munh mod rahe hain hum jo aas ki thi wo bhi ab tod rahe hain hum bas tab nahin le chal! ai ishq kahin le chal! ye jabr-kada aazad afkar ka dushman hai armanon ka qatil hai ummidon ka rahzan hai jazbaat ka maqtal hai jazbaat ka madfan hai chal yan se kahin le chal! ai ishq kahin le chal! aapas mein chhal aur dhoke sansar ki riten hain is pap ki nagri mein ujdi hui parten hain yan nyaye ki haaren hain annyaye ki jiten hain sukh chain nahin le chal! ai ishq kahin le chal! ek mazbah-e-jazbaat-o-afkar hai ye duniya ek maskan-e-ashrar-o-azar hai ye duniya ek maqtal-e-ahrar-o-abrar hai ye duniya dur is se kahin le chal! ai ishq kahin le chal! ye dard bhari duniya basti hai gunahon ki dil-chaak umidon ki saffak nigahon ki zulmon ki jafaon ki aahon ki karahon ki hain gham se hazin le chal! ai ishq kahin le chal! aaankhon mein samai hai ek khwab-numa duniya taron ki tarah raushan mahtab-numa diya jannat ki tarah rangin shadab-numa duniya lillah wahin le chal! ai ishq kahin le chal! wo tir ho sagar ki rut chhai ho phagun ki phulon se mahakti ho purwai ghane ban ki ya aath pahar jis mein jhad badli ho sawan ki ji bas mein nahin le chal! ai ishq kahin le chal! qudarat ho himayat par hamdard ho qismat bhi 'salma' bhi ho pahlu mein 'salma' ki mohabbat bhi har shai se faraghat ho aur teri inayat bhi ai tifl-e-hasin le chal! ai ishq kahin le chal! ai ishq hamein le chal ek nur ki wadi mein ek khwab ki duniya mein ek tur ki wadi mein huron ke khayalat-e-masrur ki wadi mein ta khuld-e-barin le chal! ai ishq kahin le chal! sansar ke us par ek is tarah ki basti ho jo sadiyon se insan ki surat ko tarasti ho aur jis ke nazaron par tanhai barasti ho yun ho to wahin le chal! ai ishq kahin le chal! maghrib ki hawaon se aawaz si aati hai aur hum ko samundar ke us par bulati hai shayad koi tanhai ka des batati hai chal is ke qarin le chal! ai ishq kahin le chal! ek aisi faza jis tak gham ki na rasai ho duniya ki hawa jis mein sadiyon se na aai ho ai ishq jahan tu ho aur teri khudai ho ai ishq wahin le chal! ai ishq kahin le chal! ek aisi jagah jis mein insan na baste hon ye makr o jafa-pesha haiwan na baste hon insan ki qaba mein ye shaitan na baste hon to khauf nahin le chal! ai ishq kahin le chal! barsat ki matwali ghanghor ghataon mein kohsar ke daman ki mastana hawaon mein ya chandni raaton ki shaffaf fazaon mein ai zohra-jabin le chal! ai ishq kahin le chal! in chand sitaron ke bikhre hue shahron mein in nur ki kirnon ki thahri hui nahron mein thahri hui nahron mein soi hui lahron mein ai khizr-e-hasin le chal! ai ishq kahin le chal! ek aisi bahisht aain wadi mein pahunch jaen jis mein kabhi duniya ke gham dil ko na tadpaen aur jis ki bahaaron mein jine ke maze aaen le chal tu wahin le chal! ai ishq kahin le chal!