bagula khak-zada farsh uftada hawa jarub karti hai to us ka jism dhalta hai safar ki gardishen sauda-e-baatin muntashir sochen hayule sa bagula be-shabahat qais-zada shahr ki galiyon mein chakraata hai khud main chikhta pal mein kai qarnon ke bal khata hai gard zard ka jhula bagula hijr-zada balki hijrat-zad sahra se abhi basti mein aaya tha dare sahme hue logon ki aankhen hashr-basta thin abhi do-chaar galiyan tai na ho pain kham-o-pech us ki rah mein aae zarre kasmasae jism ke aaza jhade aahista aahista udan andoh mein badli aur ab logon ke qadmon mein koi wamanda-gard be-kinara fatada hai farda ki dhun mein koi ho bas ek hayula hai mere baatin mein jo kuchh pech khata hai hayula ya bagula hai main pani aur mitti se bahut darta hun hijrat se guzarta hun ubharta hun bikharta hun