tamam umr ke sud o ziyan ka bar liye? har inqalab zamane se munh chhupae hue hayat o marg ki sarhad pe nim-khwabida main muntazir tha masarrat ki koi dhundli kiran zaman makan se pare ajnabi jaziron se dam-e-sahar mujhe khwabon mein dhundti aae fishaar-e-waqt ki sarhad se dur le jae khuli jo aankh tulu-e-sahar ne hans ke kaha hisar-e-waqt se aage koi maqam nahin samajh sako, to zaman o makan ki qaid nahin samajh sako to yahi zat be-karan bhi hai