iblis mere dil mein wo zinda tamanna de jo ghairon ko apna le aur apnon ko tarkha de bhashan ke liye dam de aur tond ko fulwa de paya hai jo auron ne wo mujh ko bhi dilwa de paida dil-e-wotar mein wo shorish-e-mahshar kar jo josh-e-election mein danka mera bajwa de main apne ilaqa ke logon ko bhi ghapla dun wo shauq-e-siyasat de wo jhut ka jazba de main nur-e-sadaqat se parhez karun har dam sine mein siyahi ka bahta hua dariya de ehsas inayat kar kursi ki mohabbat ka imroz ki shorish mein be-fikri-e-farda de be dal ke budam par rakh dast-e-karam aaqa zindani-e-zulmat ki taqdir ko chamka de