ye gham nahin ki gham-e-bandagi muqaddar hai gham khudai se kuchh kam hai aur kamtar hai akela main bhi hun tu bhi akela hai ai khuda na koi sani hai tera na koi ham-sar hai gham-e-hayat gham-e-jaanan aur gham-e-dauran ye kaenat ka gham in sabhon se badh kar hai jo gham siwa ho to tu kya kare hai mere khuda yahan to ashk fashan momin aur kafar hai bata ki tu bhi khuda rakhta hai koi apna yahan to hai ye sukun tu khuda-e-bartar hai