na jaane kab se hum donon sath hain rail ki do patriyon ki tarah rail ki do patriyon ki tarah hum sada sath chale sath pahad chadhe utre sath dariya par kiye basti station jangal sahra sab sath dekhe tere sath bahuton ne din guzare main bhi kisi ki zist ka amin raha sab sath chhod gae tera bhi aur mera bhi sath rahe to bas hum donon rail ki do patriyon ki tarah aur sada ek dusre se dur rahe rail ki do patriyon ki tarah