ai matawalo naqon walo dete ho kuchh us ka pata najd ke andar majnun nami ek hamara bhai tha aakhir us par kya kuchh biti jaano to ahwal kaho maut mili ya laila pai? diwane ka maal kaho aql ki baaten kahne wale doston ne use samjhaya us ko to lekin chup si lagi thi na bola na baz aaya khair ab us ki baat ko chhodo diwana phir diwana jate jate hum logon ka ek sandesa le jaana aawara aawara phirna chhod ke mandli yaron ki dekh rahe hain dekhne wale 'insha' ka ab haal wahi kya achchha khush-bash jawan tha jaane kyun bimar hua uthte baithte mir ki baiten padhna us ka shiar hua taur-tariqa ukhda-ukhda chehra pila sakht malul rah mein jaise khak pe koi masla masla bagh ka phul sham sawere baal bikhere baitha baitha rota hai naqon walo! in logon ka aalam kaisa hota hai apna bhi wo dost tha hum bhi pas us ke baith aate hain idhar udhar ke qisse kah ke ji us ka bahlate hain ukhdi-ukhdi baat kare hai bhul ke agla yarana kaun ho tum kis kaam se aae? hum ne na tum ko pahchana jaane ye kis ne chot lagai jaane ye kis ko pyar kare tumhi kaho hum kis ko dhunden aahen khinche nam na le pit mein aise jaan se yaro kitne log guzarte hain pit mein nahaq mar nahin jate pit to sare karte hain ai matwalo naqon walo! nagri nagri jate ho kahin jo us ki jaan ka bairi mil jae ye baat kaho chaak-gireban ek diwana phirta hai hairan hairan patthar se sar phod marega diwane ko sabr kahan tum chaho to basti chhode tum chaho to dasht basae ai matawalo naqon walo warna ek din ye hoga tum logon se aate jate puchhenge 'insha' ka pata