safed aur siyah goton ke hasin ek daere andar bahut hi surkh rangat ki hasin ek got hoti hai ki jis ko rani kahte hain har ek khelne wale ki bas ek hi tamanna hai isi carrom ke konon mein jo chhote chhote kamre hain unhen aabaad karna hai kanizon se aur rani se khiladi chaal chalta hai stricker ki madad se aamad-o-raft un kanizon ki lagi rahti hai kamron mein kahin gori kahin kali kabhi rani ajab hai khel carrom ka har ek yan khelne wala isi dhun mein hai sargardan isi kawish mein rahta hai kisi tarah se rani ko wo us jaanib ko le jae jo us ki jit ka ghar hai hai maskan us ki fath ka mahal jo hai tamanna ka jo us ki rajdhani hai jahan pe ja ke ye rani usi ki ho ke rah jae ajab hai khel carrom ka udhar rani ki sharten hain karega jo bhi puri ye to rani tab hi jaegi lo us ki shart bhi sun lo ki kaniz-e-khas ko le kar hi rani aap ki hogi karegi kamre ka rukh jab kaniz-e-khas hamrah ho siyah ho chahe gori ho magar wo sath mein jae ajab hai khel carrom ka mujhe rani ki sharton par bada hi pyar aaya hai khiladi to nahin rani magar rani to hai aakhir huma fath-o-nusrat ka aur akasr kaamrani ka usi ke sar pe jata hai ki jis ke pas rani hai kai tarah se dekho to bahut hain zawiye us mein bahut asbaq hain us mein dariche zehn ke khole ajab hai khel carrom ka kabhi rani ke hote bhi shikast-e-fash hoti hai kabhi rani ke hone se muqaddar jagmaga utthe muzaffar aap ko kar de kabhi rani to milti hai magar tum haar jate ho kabhi aisa bhi hota hai koi rani ko na pa kar bhi tum se jit jata hai ajab hai khel carrom ka