ab mere dusre bazu pe wo shamshir hai jo is se pahle bhi mera nisf badan kat chuki usi banduq ki nali hai meri samt ki jo is se pahle meri shah-rag ka lahu chat chuki phir wahi aag dar aai hai meri galiyon mein phir mere shahr mein barud ki bu phaili hai phir se tu kaun hai main kaun hun aapas mein sawal phir wahi soch miyan-e-man-o-tu phaili hai meri basti se pare bhi mere dushman honge par yahan kab koi aghyar ka lashkar utra aashna hath hi aksar meri jaanib lapke mere sine mein sada apna hi khanjar utra phir wahi khauf ki diwar tazabzub ki faza phir wahi aam huin ahl-e-riya ki baaten nara-e-hubb-e-watan mal-e-tijarat ki tarah jins-e-arzan ki tarah din-e-khuda ki baaten is se pahle bhi to aisi hi ghadi aai thi subh-e-wahshat ki tarah sham-e-ghariban ki tarah is se pahle bhi to paiman-e-wafa tute the shisha-e-dil ki tarah aaina-e-jaan ki tarah phir kahan ahmarin honton pe duaon ke diye phir kahan shabnamin chehron pe rifaqat ki rida sandalin panw se mastana-rawi ruth gai marmarin hathon pe jal-bujh gaya angar-e-hina dil-nashin aankhon mein furqat-zada kajal roya shakh-e-bazu ke liye zulf ka baadal roya misl-e-pairahan-e-gul phir se badan chaak hue jaise apnon ki kamanon mein hon aghyar ke tir is se pahle bhi hua chand mohabbat ka do-nim nok-e-dashna se khichi thi meri dharti pe lakir aaj aisa nahin aisa nahin hone dena ai mere sokhta-jaano mere piyare logo ab ke gar zalzale aae to qayamat hogi mere dil-gir mere dard ke mare logo kisi ghasib kisi zalim kisi qatil ke liye khud ko taqsim na karna mere sare logo
This is a great naraz shayari facebook. True lovers of shabnam shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this main bewafa hoon shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!