mere ajdad ka watan ye shahr meri talim ka jahan ye maqam mere bachpan ki dost ye galiyan jin mein ruswa hua shabab ka nam yaad aate hain in fazaon mein kitne nazdik aur dur ke nam kitne khwabon ke malgaje chehre kitni yaadon ke marmarin ajsam kitne hangame kitni tahriken kitne nare jo the zaban zad-e-am main yahan jab shuur ko pahuncha ajnabi qaum ki thi qaum ghulam union jaik dars-gah pe tha aur watan mein tha samraji nizam isi mitti ko hath mein le kar hum bane the baghawaton ke imam yahin jaanche the dharm ke wishwas yahin parkhe the din ke auham hain munkir bane riwayat ke yahin tode riwaj ke asnam yahin nikhra tha zauq-e-naghma-gari yahin utra tha sher ka ilham main jahan bhi raha yahin ka raha mujh ko bhule nahin hain ye dar-o-baam nam mera jahan jahan pahuncha sath pahuncha hai is dayar ka nam main yahan mezban bhi mehman bhi aap jo chahen dijiye mujhe nam nazr karta hun un fazaon ki apna dil apni ruh apna kalam aur faizan-e-ilm jari ho aur uncha ho is dayar ka nam aur shadab ho ye arz-e-hasin aur mahke ye wadi-e-gulfam aur ubhren sanam-gari ke nuqush aur chhalken mai-e-sukhan ke jam aur niklen wo be-nawa jin ko apna sab kuchh kahen watan ke awam qafile aate jate rahte hain kab hua hai yahan kisi ka qayam nasl-dar-nasl kaam jari hai kar-e-duniya kabhi hua na tamam kal jahan main tha aaj tu hai wahan ai nai nasl tujh ko mera salam