kabhi aisa bhi hota hai sawalon ki koi ek bhid mujh ko gher leti hai to ye mahsus hota hai ki main pabandiyon ke is qafas ko tod kar bahar nikal aaun main is duniya ko dekhun aur bahut nazdik se dekhun zehn mein kulbulate un sawalon ke bhi hal dhundun jo kuchh mere hain aur kuchh dusron ne mujh se puchhe hai kisi ko justuju hai us wajud-e-pak ko jaane tazabzub mein koi hai us ko mane bhi to kyun mane agar wo hai to is duniya mein bad-amaliyan kyun hain agar wo hai to insanon mein ye bad-kariyan kyun hain yahan bachpan hai dahshat mein jawani bhi hai khatre mein hai kuchh mahaul bhi aisa ki pani bhi hai khatre mein agar wo hai to phir kyun khamushi ki hai rida odhe agar wo hai to phir haalat ki gutthi ko suljhae na jaane kitne aise hi sawalon ne kiye hamle to main ne ye tajassus aql ke mizan mein tole mujhe lagne laga ye kaise behis log hain jin ko nahin ehsas neamat ka na bahron ke khazanon ka na unchi un chatanon ka na kohsaron ki azmat ka na us geti ki wusat ka parindon ke taranon ka na jangal ka makanon ka na paidaish na rehlat ka mohabbat aur shafqat ka ki duniya ke har ek zarre mein us ka nur pinhan hai andhera ho jahan wo nur ki surat numayan hai khushi aur gham hamare imtihanon ki hi shaklen hain ki hum us ke diye aain ko kitna samajhte hain hamare sabr dushwari ki chot chot sahte hain kahan hum ladkhadate hain kahan se bach nikalte hain use pahchanna aasan nahin lekin wajud-e-haq numayan hai azal se aaj tak ye ja-ba-ja lamha-ba-lamha pai-ba-pai mahsus hota hai ki wo shah-e-rag se hai nazdik aur aamal par nazren use hai fikr khilqat ki aur insaf-o-adalat ki wo hadi hai har ek shai ka muhafiz hai har ek shai ka ki jab in zalzalon se apni dharti kanp uthti thi jahan lashen hi lashen thin wahan chaubis ghanton tak wo ek nannhi si jaan ko int aur patthar ke malbe mein ata karta hai sansen aur us ko zinda rakhta hai to sar sajde mein jhukte hai aqida aur bhi mazbut hota hai