ai subh-e-watan ai subh-e-watan ai ruh-e-bahaar ai jaan-e-chaman ai mutrib ya ai saqi-e-man ai subh-e-watan ai subh-e-watan le josh-e-junun ki zarbon ne zanjir-e-ghulami tod hi di jamhur ke sangin panje ne shahi ki kalai mod hi di tarikh ke khunin hathon se chhina hai tera simin daman ai subh-e-watan ai subh-e-watan phir laut ke aaya sadiyon mein iqbaal-o-tarab ka sayyara kirnon mein ufuq par phir chamka pasti ke andheron ka mara hairan hairan nazan nazan khandan khandan raushan raushan ai subh-e-watan ai subh-e-watan dharti ke tabassum se chamke aafaq-e-abad ke sayyare zulmat ke tarannum se phute nur-e-abadiyyat ke dhaare zarron ko taghayyur ne bakhsha ek moajiza-e-khurshid-shikan ai subh-e-watan ai subh-e-watan soe hue zarre jag uthe anwar-e-sahar bedar hue ehsas-e-zamin bedar hua afkar-e-bashar bedar hue bistar se khazaf reze utthe aur lal-o-gohar bedar hue aankhon ko mila gulzaron ne shakhon par samar bedar hue nainon se masti barsati lo jag uthi hasti ki dulhan ai subh-e-watan ai subh-e-watan banjar dharti ki nas nas mein paudon ka takhayyul lahraya ujde kheton par saya hai gehun ke sunahri khoshon ka har barg-e-fasurda ne khincha doshiza bahaaron ka daman ai subh-e-watan ai subh-e-watan sunsan bayabanon mein hai ek jazba-e-gulshan-arai viran khandaron mein leta hai mahlon ka tasawwur angdai sipi ki ru-pahli jholi mein hain aaj hazaron durr-e-adan ai subh-e-watan ai subh-e-watan zarraat mein karwat lene lage so lala-rukhsan-o-mah-e-jabin sangin chatanon mein jage asnam ke khadd-o-khal-e-hasin hai dair ki kaba kya jaane hai kaun sa aalam zer-e-zamin masjud nahin hai koi bhi sajde mein magar jhukti hai jabin naqqash hai teri parchhain aazar hai tere suraj ki kiran ai subh-e-watan ai subh-e-watan aahan ki salabat mein ubhra masum tasawwur narmi ka phulon ki latafat mein umda aahan ban jaane ka jazba qarnon ki khamoshi ko hasrat hai sail-e-bayan ban jaane ka sadiyon ki udasi ko zid hai ek nutq-e-jawan ban jaane ka har sans ke andar ghaltan hai taghir ke sine ki dhadkan ai subh-e-watan ai subh-e-watan parbat parbat sagar sagar parcham apna lahraata hai mahlon pe milon pe qilon par azmat ke tarane gata hai gul-bar rida-e-azadi sarshaar jawani ka parcham ye amn ke naghmon ka mutrib khamosh baghawat ka ye alam tahzib ka ye zarrin aanchal tamir ka ye rangin daman ai subh-e-watan ai subh-e-watan qindil-e-sahar nur-e-manzil khurshid-e-sahar sham-e-sahil ye khun-e-shahidan ka makhzan ye dard-e-rafiqan ka hasil ye amn ka lahraata gesu ye sidq-o-mohabbat ka darpan ai subh-e-watan ai subh-e-watan ab kheton mein gandum hi nahin sona bhi ugega ai saqi bakhshega taghayyur bhukon ko ek roz mizaj-e-zarraati ab hire moti uglenge ye bagh-o-sahra koh-o-daman ai subh-e-watan ai subh-e-watan ganw ko sunaenge muzhda ehsar-e-hasin ban jaane ka zarron ko sandesa denge tadap kar mahr-jabin ban jaane ka aur tere ufuq ki lali se hote hain sitare bhi raushan ai subh-e-watan ai subh-e-watan ab khak qadam majburon ki barsaegi duniya par sona ab atlas ki qismat hogi pairahan-e-mehnat-kash hona padte hi nigah-e-saiqa-e-zan jal utthega har nazm-e-kuhan ai subh-e-watan ai subh-e-watan kheton ki zamin unchi ho kar firdaus se rishta jodegi ab hal ki ani sarmasti mein aakash ke tare todegi wo din bhi ab kuchh dur nahin jab sayyare honge aangan ai subh-e-watan ai subh-e-watan