jaan-e-gulshan aur jaanan-e-bahaar jawedan sham-e-shabistan-e-bahaar ifitkhar-e-rozgar-e-be-sabaat yaadgar-e-bazm-e-viran-e-bahaar ek dimagh-e-sanat-e-marhum-e-hind ek charagh-e-zer-e-daman-e-bahaar ambarin sabze pe mukhtar-e-iram marmarin afsar pe sultan-e-bahaar waqai tabir-e-khwab-e-husn-o-ishq aakhiri taswir-e-tufan-e-bahaar khamushi ka naghma-e-mawwaj hai taj ab bhi rifaton ka taj hai subh-e-jannat ki sabahat is mein hai sham-e-gulshan ki latafat is mein hai is ke har lamhe mein ek taza bahaar ek nai har waqt jannat is mein hai maddiyat is ko chhu sakti nahin ruh ki goya hukumat is mein hai jalwa-kari kam se kam itni to ho dekhiye jab ek nudrat us mein hai husn ki jo maya-e-mumtaz thi ab bhi pinhan wo amanat is mein hai ishrate-nazzara ki mearaj hai taj ab bhi azmaton ka taj hai taj ek bijli hai lahraati hui ek tajalli kaif mein dubi hui ya jabin-e-hur ki koi shikan ek bayaz-e-nur mein lipti hui baam-o-dar se gumbad-o-minar se har taraf ek chandni phaili hui aah ye mahfil ziya-o-husn ki chand-taron se murattab ki hui is ke har goshe mein zarron ki tarah daulat-e-kaunain hai bikhri hui hai kahin nilam kahin pokhraj hai taj ab bhi sanaton ka taj hai wusat-e-kaun-o-makan ka aaina jalwa-zar-e-kahkashan ka aaina jis ko duniya kho ke roti hi rahi is mata-e-raegan ka aaina ek bazm-e-rafta ka matam-gusar ek nishan-e-be-nishan ka aaina dil-kusha taswir-e-subh-e-anjuman dastan-e-pastan ka aaina azmat-e-mumtaz ki ek jalwa-gah shaukat-e-shah-jahan ka aaina yaadgar-e-mahfil-e-taraj hai taj ab bhi hairaton ka taj hai