apni binai khoti aankhon se kamre mein bikhri parchhain ko dekh kar main ne kaha main tanha nahin hun apni ham-joli ainak ke sath sair karti hun dur-daraaz ilaqon tak ghum aati hun tarikh ke tah-khanon mein aur falsafi ke zehnon ke raaz jaan leti hun kabhi sharma kar simat jati hain yaadon ki parchhaiyan tab main dhundti hun ham-joli ainak ko jo satati hai bar-bar ot mein ho kar milti nahin dhunde se bhi main ghabra jati hun apne adhure-pan se wo phir muskura kar jhankti hai takiye ki ot se magar aaj ye hadisa hua jab kho diya use to wo mil na saki main bhatakti rahi dhundli aankhon se sare ghar mein bartanon ki almariyon aur kapdon ki daraazon mein dhup chhanw aur bistaraon mein kahin bhi nahin thi wo be-chaari si thak kar baith gai main huruf ke liye tarasti hui meri nazren majbur-e-mahz us ke baghair dekh na pain meri ainak ki qabr aur wo kitabon ki dabiz tahon mein dafn hoti gai