aisa bhi nahin ki mujhe zindagi ke ped ke pas be-as aur be-sahaara chhod diya gaya ho main ne abhi abhi gilahriyon ki aawaz suni hai gilahriyan mere liye bahisht ke akhrot la rahi hain siwae is ke ki aadam-zad kahin dikhai nahin deta magar jangal bol raha hai ki is ke bol mein meri bichhdi hui aawaz shamil hai mere baal-bachchon ka pyar shamil hai siwae is ke ki jin logon ne mujhe be-nam jaziron mein le jaane ka wada kiya tha wo ab kahin dikhai nahin diye to ab main kis se kahun ki kahne sunne wala zindagi ka nizam to baqi nahin raha awae us ke ki mitti kah rahi hai ki wo an-ginat ped paude tab ugaegi jab main yahan hunga hi nahin