sher jangal mein hai udas bahut jaanwar kam hain aur ghas bahut sochta hai ki kya karen ab hum kar liya ghaur aur qayas bahut ma-badaulat ka ho gaya pada thi kabhi apni dhons-dhans bahut sab reaya chali gai zoo mein naukri aai sab ko ras bahut sab ke jangal ko chhod jaane se ho gaya hai hamara loss bahut khane pine ke pad gae lale chahiye family ko mas bahut bachche udham machae rakhte hain in ko lagti hai bhuk pyas bahut sherni ne bhi roz lad lad kar kar diya hai hamara nas bahut wo samajhti hai aaj bhi haiga mal-o-daulat hamare pas bahut roz make-up ka chahiye saman aur darkar hain libas bahut us se shikwe shikayaten sun kar tane deti hai hum ko sas bahut ji mein aata hai khud-kushi kar len zindagani se hain niras bahut par kabhi sochte hain shahr chalen sungh li jangalon ki bas bahut ja ke circus mein naukri kar len gar milen to hain sau pachas bahut