aur jab un ke ajdad ki sarzamin jis ki aaghosh mein wo pale tang hone lagi jab usulon ki pakizgi aur ganda riwayat mein jang hone lagi to unhen aasman se hidayat mili nek band tumhaare liye ye zamin ek hai us safar mein tumhein rizq ki fikr hai kya anajon ki gathri uthae charindon parindon ko dekha kabhi zad-e-rah nek aamal hain mere ahkaam hain maut ka khauf be-kar hai aakhiri sans ke baad sab ko palatna hai meri taraf tum faqat jism hi to nahin apne andar sulagti hui raushni ke sahaare badho ek hi jast mein dast-o-dariya ki phaili hui wusaten nap lo chappe chappe pe apne nuqush-e-qadam is tarah sabt kar do ki un ajnabiyon ki hairat mite aur paiham taaqub mein dushman jo hain un ki khiffat badhe mere ahkaam ki raushni sab ke dil mein utaro ki aiwan-e-taslis mein sham-e-wahdat jale