ajab lahja hai us ka

paniyon par jhilmilati chandni jaisa
mere dil ka samundar jab bhanwar ki zad mein aa jae

sabhi tarik lahren gher kar mujh ko
kisi patal ka rasta dikhati hon

to wo aisi sifat lahja
mujhe phir sahilon par khinch lata hai

mujhe kahta hai dekho
is bhanwar ke par bhi duniya mein kuchh lamhe dhadakte hain

unhen bhi apni sanson mein parda dekhun
ye lahren jo ki andhiyaron mein dew-asar lagti hain

unhen tum chandni mein dekhna ye kis tarah
kirnon se mil kar majare takhliq karti hain

ye lahren jab rupahle nur ki naddi mein dhalti hain
to masti mein machalti aasmanon ko lapakti hain

amawas jab bhi aae chandni ko ya magar lena
mere chaaron taraf melon pe chalti dhup phaili hai

magar us ki ye baaten barishon ki bundiyon jaisi
mere dil ki daradon mein

hari fasli ugai hain
main sar se panw tak

shabnam se bhigi pattiyon mein dub jati hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close