hum to yun bhi baj-guzar the sadiyon ke hum to kitni hi naslon se aap ki kitni hi naslon ko haqq-e-namak mein apne iman aur ana ka nazrana dete aae the hum ne to apne hisse mein mahal-sara ke pichhwade ki dhul chuni thi aur rahon mein udne wale kuchh tinke bhi jin se ghonsle ban sakte the mahal-sara ko in tinkon se kya khatra tha phir kyun aap ne shah-e-wala chilon kawwon aur gidhon ko chhote chhote ghonsle nochne par mamur kiya hai aisa kyun hai shah-e-wala hum sadiyon ke baj-guzar to shahr-e-panah se bahar hain lekin chilen kawwe aur gidh shahr-e-panah ke andar hain shahr-e-panah ki is taqsim mein kis ka hath hai shah-e-wala