ajab pani hai ajab mallah hai surakh se be-fikr aasan mar ke kashti ke ek kone mein baitha hai ajab pani hai jo surakh se dakhil nahin hota koi mauj-e-nahufta hai jo pende se kisi lakdi ke takhte ki tarah chipki hai kashti chal rahi hai sar-phiri lahron ke jhule mein abhi ojhal hai jaise dubti ab dubti hai jaise batn-e-ab se jaise talatum ki siyahi se abhi nikli hai jaise raat-din bas ek hi aalam mein kashti chal rahi hai kya ajab kashti hai jis ke dam se ye pani rawan hai aur us mallah ka dil naghma-khwan hai kitne tapu rah mein aae magar mallah khushki ki taraf khinchta nahin nazara-e-raqsandagi khwab mein shamil nahin hota ajab pani hai jo surakh se dakhil nahin hota