zaman ki gardish khutut jitne bhi amn-o-ulfat ke tum ne hum ko diye hain ab tak zara ruko to hamein batao tumhaare lafzon ki aastinon mein kya chhupa hai wo koh-e-kafi qabila jis ne nae zamanon ko surkh chadar se dhanp lene ka hukm sadir kiya hai phir se wo nochta hai un aainon ko ki jin pe suraj ka aks chhalke to raushni ho khuda ke ghar mein kharab haalon ne dars dene ki than li hai hamare aansu bhi kuchh khasaron ko jazb kar ke hazaron sajdon pe jam gae hain har ek gali mein hai shor itna azanen ghar tak pahunch na paen hamari tahzib aur riwayat meri padi hai har ek gumbad pe sard lahje saje hue hain hai darj un par ye log sare jahannami hain hamare bachche namaz padhne se dar rahe hain nigahen sab ki tamash-binon ne bant li hain hira se aati hui hawaon ko bosa dene ki aarzu mein bahut se raston ne dhul phunki bahut se ghodon ne jaan ganwa di zaman ki gardish hai yaad hum ko arab ki mitti pe dhup barsi to aag bhadki falak se utri thin aabshaaren bahut se fitne bhi jal bujhe the wahi dhuan phir se uth raha hai zamin pe jin ne baqa ka parcham utha rakha hai sharir bachche hain kufiyon ke zaman ki gardish zara suno to bahut hain tufan zamin hai banjar meri sada ke nahif shoale gawah rahna gawah rahna charagh ugne ke din nahin hain charagh ugne ke din nahin hain