jo aksar sochti hun main bata kya tu bhi wo soche meri aankhon ki tahriren agar ai kash tu padh le to phir ye jaan lega tu ki jab se tujh ko dekha hai dhanak rangon ki ek titli mere man mein samai hai mahak sandesa lai hai ye sab main ne suna to phir mujhe mahsus hota hai ki main bhi ek titli hun ye dil mera gulistan hai tu hi to mera arman hai basun tere khayalon mein rahun teri nigahon mein liye banhon mein hum banhen wafa ke git bhi gaen tera dil ho mera ghar ho tera shana mera sar ho magar main dekhti hun ki hai sochon ka bhanwar aage kai andeshe phir jage achanak phir hua ye ki 'ajab sapna dikhai de na tu apna dikhai de